history of red fort (Lal kile ka itihas)

 history of the red fort(Lal kile ka itihas)

Hello friends ,

Ye post hai red fort ke baare mai jisme aapko janne ko aur sikhne ko bahut kuch milega mai aasha karta hu ki aapko ye article pasand aayega 



The history of red fort 

Lal kile ko Red fort  ke naam se bhi jaana jata hai aur yah shahar ke bilkul beech mai located hai. 
yah aitihasik sthaapit kala ki sabse aachi smarak hai aur bahut se deesho ke logo ke liye Tourism ka aacha aakarshak place hai. isse desh ki  aitihasik sampati ke roop mai swabhavik aur surakshit banane ke liye, bharat sarkar ke dwara samay-samay par iski dekhrekh ki jaati hai.

yah mughal samrat Shajahan ke dwara, 17 vi shatabdi mai varsh 1648 mai, Yamuna river ke kinare par banvaya gaya tha. yah New delhi mai salimgarh kile ke pass located hai. 


Bharat ke swatantrata divas par, pime minister yaha rashtriya dhwaj ko fahrate hai. Red fort apne aap mai bahut si sundar sanrachnao(jese-Rang mahal, ya rango ka mahal, Mumtaz mahal, khash mahal, Dewaan-ae -khash, aadi) ko liye hue hai. yah Lal pathrao ka prayog karke banaya gaya tha aur issko bahut kushal aur peshevar karigaro dwara taiyaar kiya gaya hai. aur iski pahli manzil par Yuddh samarak sangrhalaya rakhe hai.

Famous monument red fort


Red fort 1857 tak takreeban 200 varsho tak Mughal samrajya ka nivas sthan tha. mughal sasan kaal mai Red fort mukhya kile ke roop mai tha, Britishers ke jyadatar sabhi kaam laal kile mai hi hote the. 1546 mai islaam saah Suri dwara banaye gaye salimgarh kile ki tarah hi Red fort ka bhi nirmad kiya gaya tha. Laal kile mai hame muslim mahalo ki pratikritiya dikhayi deti hai, saath bhi Laal kile mai hamai Parshian paramparai ki jhalak bhi dekhayi deti hai. kile ke baahar ek aacha garden bhi hai lekin Red fort mai bana garden hamai delhi, rajashthan, panjab, kashmir, braj, aur rohilkhand ke garden se thoda alag dikhayi deta hai. Salimgarh kile ke saath hi Red fort ko bhi 2007 mai UNESCO World Heritage Site mai saamil kiya gaya tha.


Shahjahan ne 1638 mai jab apni rajdhani ko aagra se dilli sthapit karne ka nirya liya tabhi Red fort ka nirmad karvaya. agar hum vaastvik roop se dekhe toh White aur Red Shah jahan ke pasandida rang hai, Laal kile ko arcitect ustad Ahamad Lahori ne hi design kiya tha, aur unhone hi Taj mahal ka bhi nirmad kiya tha. aur issi vajah se Red fort ki deewarein aur bhi manmohak najar aati hai. Red fort ka nirmad karya 13 may 1638 ko suru hua tha. aur shah jahan ke saasan kal mai iska kaam 1648 mai pura hua.


dusre mughal kile ki tarah hi iss kile ki seema par bani deewarein bhi salimgharh kile ki tarah asamamit dhang se bani hui hai. uss samay manmohak Red fort banne ki vajah se Dilli ko Shahjahanabad kaha jata tha. shah jaha ke sasankal mai Lal kile unke saasankal ki rachnatmakta ka prateek mana jata tha. shah jaha ke baad unke vaarish Aurangzeb ne kratrim motiyon se bani Masjid ka nirmad karvaya tha, saath hi Aurangzeb ne pravesh dwaar ko aur bhi manmohak banane ke liye kaafi kuch badlaav kiye.


mughal samrajyo dwaara kiye gaye kile ke nirmad ka aurangzeb ne kaafi patan kiya aur 18 vi shatabdi mai mughal saasankal mai bane kilo aur mahlo ko kaafi nuksaan hua. 1712 mai jab Jahandar shah ne kile ko hatiya liya tha tabh takreeban 30 saalo tak red fort bina saasak ke tha. lekin saasankal ke laagu hone ke ek saal pahle hi shah shah jaha ki hatya ho gayi aur unki jagah Farrukhsiyar ne le lee. apne rajya ki arrthik issthiti ko sudhaar ke liye chadee ki roof ko copper ki roof mai badla gaya.


1719 mai red fort ko rangeela ke naam se prasiddh Muhammad shah ne apni kalakritiyo se sajaya. 1739 mai paarshian saasak Naddir shah ne aasani se mughal saina ko paraast kiya. baad mai naadir shah 3 mahine baad paarshiya vaapis aaye, lekin jaane se pahle unhone mughal shahron ko poori tarah se dhwast kar diya tha. aur iss tarah se mughal saasko ke kamjor hone ke karan hi shahjahanabad ka naam dilli pada aur 1752 mai unhone Marathao ke saath dilli ki suraksha ka samjhauta kar liya.

Famous monument red fort 


Some tips red fort ghoomne ke liye 


aacha samay ghoomne ke liye: November to february 

Location: Netaji subhash Marg

Metro Station: Chandni Chowk

Weekly holiday: Monday

Entry fee: Rs. 10 (Indians), Rs. 250 (foreigners)

Special events: Sound and light show, 6pm onwards in Hindi aur English at Rs. 80 for adults aur 30. for children




Oldest