Statue of unity Sardar patel(sardar patel ki ekta ki pratima)
Hello friends kese hai aap sab log i hope ki aap sabhi log aache honge to chaliye iss post mai hum baat karenge sardar patel ke aur unki statue ke baare mai to start karte hai .
A brief biography of sardar patel(sardar patel ki sanchipt jeevani)
Sardr patel ka birth 31-oct-1875 mai Gujrat ke Naadiyad village mai hua tha . unke pita jhaverbhai patel ek sadharan kisan aur mata laad bai ek sadharan mahila thi . bachpan se hi patel bahut mehnat karte the , apne pita ke saath ve kheti mai madad karte the . unhone apni high-school ki exam 1896 mai complete kar li thi . unke ghar ki sthiti kamjor hone ke baad bhi unke pita ne unhe college bhejne ka kadam udhaya lekin vallabh bhai patel ne jaane se inkar kar diye .
aur ghar par hi mehnat karke jile ke neta ki exam pass kar li thi , aur baad mai unhe Barrister ki uppadhi se navaja gaya aur yahi se vo desh ki seva mai kaam karne lage . baad mai Patel Bharat ke pahle Hom-minister(grahmantri) aur pahle vice prime- minister(upp pradhanmantri) the . unke dwara kiye gaye mahatavpurn(important) kaamo ke vajah se unhe desh mai Iron man ke naam se bhi jana jata hai . ve hamesha apne kaam ke prati samarpit rahte the .
aur yahi vajah hai ki jab bhi bhartiya swatantrata sangram aur bhartiya ekta ki baat hoti hai to unka naam sabse pahle yaad kiya jata hai . agar aaj hum Kashmir se Kanyakumari tak faile itne bade area ko dekhte hai to uska poora yogdaan sardar patel ko jaata hai . desh ki choti-choti riyasato ko milane ka kaam kiya aur iss tarah vishal Bharat banaya jo ki unke bina yah bilkul sambhav(possible) nahi tha . jis tarah Bismark ne Garmany ko ek karne mai bahut mahatvpurn yogdaan diya thik ussi tarah Patel ne bhi Azzad Bharat ko banane mai apna bahut mahatvpurn yogdaan diya hai .
World's largest statue , statue of unity(Duniya ki sabse badi pratima statue of unity)
Duniya ki sabse badi statue , Statue of unity sardar sarovar dam ke dakshin(south) mai sthit Narmada river ke Sadhu bet island par bani hai . iss statue ki height 182 meter mai jiska shilanyas(establishment) 31-oct-2018 ko unki 137 vi jubli (jayanti) ke mauke par india ke Prime minister Narendra modi ne kiya tha . "Sardar patel national intigration trust" vo sanstha(organization) vo sanstha hai jisne iss vishal Statue of unity ka nirman kiya hai .
iss statue ke Engineering se judi kuch baate aapko surprised kar sakti hai jese statue of unity duniya ki prasiddh statue of liberty ke comparison mai 2 times badi , spring temple buddha china se 1.5 times badi , the motherland calls russia se 2.5 times badi , chirst the redeemer brazil se 4 times badi hai . ye apne aap mai hi ek bahut bada record hai .
ab baat karte hai iss statue se judi kuch khas baate , agar hum iss statue ke base(aadhar) se suru karte hai to ye statue 182 meter ucchi hai , halaki iss statue ki actual height 162 meter hai lekin iss statue ko 25 meter ucche ek base par rakha gaya hai jiski vajah se iski height 182 meter ho jaati hai . statue of unity ko banane mai 2332 crore ke lagat aayi hai vahi iski poori pariyojna ko banane mai total 3000 crore ki lagat aayi hai .
saal 2012 , 13 mai iss pariyojna ke suruaat ke baad isse keval 42 mehino mai nirdharit samay ke andar banaya gaya hai saal 2012 mai iss statue ko banane ke liye Tarner Consulting naam ki ek company ko project managment consultant ke roop mai chuna gaya ye vahi company hai jisne Dubai ki jani-mani Imarat Burj Khalifa ko banane ka kaam kiya tha . iss company ka kaam ye tha ki ye ek contractor ka selection kare jo construction methodology pariyojna ke dekh rekh kare .
iske baad saal 2014 Larsen and Toubro naam ki ek company ki iss pariyojna ke engineering procurment construction(EPC) ke naam se chuna gaya tha . EPC company agency ka kaam iske design se lekar isko banane mai kisi bhi jaroorat material ko hasil karne aur uska poora kaam karne ke liye Jimeedar hoti hai . EPC contractor chune jaane ke samay ye bhi dhyan rakha jata hai ki vah contractor uss kaam ko karne mai kushal (competent) hai ya nahi .
statue of unity ko iss tarah se banaya gaya hai ki yah 180 km/hr ki speed se chalne vali air mai bhi sthir khadi rahegi aur yah 6.5 intensity(tivrata) ke saath aane vale earthquake(bhukamp) ko bhi rok sakti hai , isko banane mai bhartiya karigaro ke saath-saath 300 china ke karamchariyon ko bhi lagaya tha iss tarah yah bankar taiyaar hui .

Statue of unity |
The most expensive ticket to see it up(sabse mahanga tikat hai issko upper tak dekhne ke liye)
iss statue ke 3 kilometer ki boundry ke andar ek Tent city bhi banayi gayi hai jo ki 52 houses ka sabse aacha Bharat bhavan 3 star hotel hai . jaha par aap raat bhar(whole night) ke liye ruk kar iska maja le sakte hai . statue of unity ke neeche ek Musium ko bhi banaya gaya hai jaha par sardar ki
yaado se judi kayi saari vastuye rakhi gayi hai . statue ko agar apko upper jaake dekhna hai to uske liye Lift ki bhi suvidha hai . statue ko banane mai 5700 metrik ton structural steel aur 18500 metrik ton Reinforcement barse se bani iss statue mai Laser Lighting bhi lagayi gayi hai ,
jo iski khoobsurti aur ronak ko aache se banaye rakhti hai . sttue of unity ko agar aapko bilkul najdeek se dekhna hai to uske liye ticket ka price 380 rs. hai jab ki agar apko isko door se dekhna hai to uske liye ticket ka price 160 rs. hai patel ki iss statue mai aesi Metals ka use kiya gaya hai jisse ismai kayi saalo tak koi jang(corrioson) nhi lagegi isko banane mai 90 % copper ka use kiya gaya hai . yah duniya ki sabse kam samay mai banne vaali statue hai aaj tak poori duniya mai koi bhi statue itni jaldi nahi banayi gayi hai .
Sardar patel "Valley of flower garden"
statue of unity ko kafi sundar banane ke liye iske chaaro taraf valley of flower garden banaya gaya hai jo ki 250 acre mai faila hua hai , ismai 100 se bhi jyada alag-alag tarah ki variety ke flowers ke trees lagaye gaye hai jiski vajah se iski sundarta aur bhi bad jaati hai . ye garden abhi poori tarah se abhi under construction hai ismai jaane ki abhi kisi ko permission nahi hai .
lekin raat(night) ke samay ye bahut hi khoobsurat lagta hai jab iske chaaro taraf lighting hoti hai iss garden se kuch doori pahad(Hill) par Statue of unity ka sign laga hua hai , jo ki bilkul vesa hi hai jesa ki California ke sahar Hollywood mai hollywood ka sign laga hua hai jo ki door se logo ko bahut attract karta hai jiski vajah se isse dekhne ke liye kayi saare log aate hai to agar aap logo ko kabhi mauka mile to jaroor visit karke aana .
to agar aapko ye post aachi lagi to isse apne friends ko share jaroor kariyega aur comment karna mai aese hi aur bahut saare aache article publish karta runga . thanku dosto
Read this :
1. History of red fort
2. best place hampi temple

Valley of flower |

ConversionConversion EmoticonEmoticon