Jim corbett national park safari

Jim corbett national park safari

Hello dosto , kese hai aap log mai aasha karta hu ki aap sabhi aache honge aaj mai aapko india ke sabse purane aur sabse bade national park ke baare mai batane ja rha hu to chaliye suru karte hai .

A brief biography of Edward james corbett

Jim corbett ka poora naam James Edward Corbett tha . inka birth 25 july 1875 ko hua tha . aesa mana jata hai ki jim corbett bachpan se hi bahut mehnati aur nidar the . unhone apni life mai kayi chote bade kaam kiye jinmai Driveri , stationary aur unhone army mai colonel  ki rank par bhi kaam kiya hai . lekin  unka man to animals aur nature ki taraf sabse jyada lagta tha . unka padai mai bilkul man nhi lagata tha unhe animals se bahut jyada pyaar tha . unke andar itni speciality thi ki vo door se hi animals ki voice ka pata laga lete the

jim corbett itne bade shikari the ki saal 1907-1940 tak unhone total 19 Tigers aur 14 Panther ka shikar kiya tha . ek baar unko United province  matlab Uttrakhand aur Utter pradesh ek hi state the jise United Province kaha jata tha  unki taraf se inko khash bulaya gaya tha  ki iss province mai tigers ne almost 1100 logo ko maar diya tha . jese hi unhe pata chala to ve turant chale aaye kuki unn dino mai jim corbett ek bahut hi aache shikari(Hunter) mane jate the

yaha aakar unhone dekha to unhe pata chala ki ye toh bahut hi khatarnaak mamala hai aesa mana jata hai ki unhone sirf vahi Animals ka shikar kiya jo Insaano ko mar dete the . Jim corbett tigers aur kayi animals ki body ko apne ghar par le jaate the aur unki baariki se Investigation karte the . iske baad vah unke Head aur khaal ko dewar par saja dete the aese hi ve ek din animals ke baare investigation kar rahe the toh unhe ek badi ajeeb jankari pata chali jisne Jim corbett ki soch aur unke kaam karne ke tarike ko bilkul badal kar rakh diya

ek baar jab vah shikar kar rahe the toh unhone dekha ki un tigers ke pahle se hi 2 ya 3 ghaav ke nisaan the inmai se kuch goli(round) aur kuch teer(archer) ke the jim ko pata chala ki inhi ghaavo ki vajah se ve khatarnak ban jate hai jese hi ve insano ko dekhte hai unn par bhadak jate hai aur phir unhe maar dete hai . ye sab dekhkar jim corbett ko ahsash hua ki surakha insaano ki nahi tigers ki honi chahiye . issi beech mai unhone apni pahchan banakar United Province mai ek yaachika(appeal) ki inn tigers ke liye ek surakshit jagah honi chahiye

phie baad mai unki baat ko maan liya gaya aur sabhi animals ke liye ek bada area Forest ka  banaya gaya tha . uske baad uss jagah ka naam Heli national park rakha gaya jo baad mai aage chalkar Jim corbett national park ke naam par rakha gaya . unhone apne life ki sabhi experience ko apni books mai bataya hai .


Top books written by jim corbett(jim corbett dwara likhi gayi important books)

1. The Man-eating leopard of Rudraprayag
2. Man-Eaters of Kumaon
3. My India
4. My India
5. Jungle Lore
6. Jungle Stories

Jim corbett national park history in hindi

Jim corbett national park India ka sabse purana national park hai . yah ek vishaal animals vala area hai ,  khaskar ye park khatarnak tigers ke liye jana jata hai . ram ganga ki Patlidoon ghati mai 600 square kilometer ke area mai faila hua hai , jo ki Uttrakhand ke Kumao Nanitaal ke andar aata hai . corbett national park ki doori Delhi se Muradabad-Ramnagar hote hue iski doori 300 kilometer hai . isko Visit karne ke liye tourist ka sabse aacha samay november se april tak mana jata hai .

iss weather mai jitni bhi travel agencies hoti hai vo aasani se tourist ko park ghumane ki vyavastha karti hai . kumau vikas nigham (kumau development corporation) bhi every friday ko delhi se corbett tak tourist ko le jaane kai vyavastha karti hai . aur inn buses mai experinced guide hote hai jinhe animals ki aachi jankari hoti hai jo unn animals ki habits ko batate hue jate hai

jim corbett national park himalaya ki talahati(bottom) mai bana hua hai jo ki apne Green Forest ke liye jana jata hai . india poori duniya mai Wild tigers ki sabse jyada aabadi vala desh hai jo poori duniya mai famous hai . iss park mai lagbhag 150 tigers ka ghar hai jo ram ganga river ke kinare hai . corbett national park mai dikhai dene vale animals mai tigers , panther , deer , saamber , barking deer , wild pig , aur rhesus monkey kayi animals aate hai

iss park mai lagbhag 700 alag-alag variety ke colourful birds bhi rahte hai jinmai peacock , piegon , owl , hornbil , barbit chakravak , maina , minivet , teetar , sunbird , saras , kintangle , baaj , eagle , fly catcher aadi aate hai . iske alava iss park mai 40 type ki shrubs (jhadiya) , 30 type ke bumboo aur lagbhag 115 type ke alag-alag trees bhi aate hai jinhe dekhne ke liye kayi tourist door-door se aate hai . aese tourist jo corbett national park ke ghane forest mai ghoomne ki yatra bana rahe hai toh ve log Dhikala bhi ja sakte hai

jo paatlidoon ghati ke kinare hai dhikala se iss park ka najara bahut hi khoobsurat dikhai deta hai .

  
jim corbett national park image , best image of corbett park
Jim corbett national park image 
agar aap dhikala ke raaste se jaayenge to aapko beech mai wild elephant , cheeta , deer , aur kayi prakar ki alag-alag birds ki prajati ko dekhne ka muka milega . agar aapko iss park ko aache se ghoomna hai to aap logo ko experienced guide ke saath tracking par jana chahiye jinhe iss jagah ki aachi jankari hoti hai , park mai ek Kalagharh dam jagah hai jo park ke south-west mai sthit hai . yah jagah tarah-tarah ke birds ko dekhne ke liye ke liye famous hai yaha birds Winter ke weather mai alag-alag country se migrate karte hai jinhe dekhne ke liye kayi tourist yaha bahut badi sankhya mai aate hai

park ke andar ek bahut bada corbett water falls bana hua hai yah jagah Picknic ya Camp ke liye bahut hi aachi jagah hai . park ke Vijrani aur Dhikala area mai Haathi Safari bhi hai jiska aap aache se aanand utha sakte hai . apko agar iss park ko aache se ghoomna hai to Jeep Safari sabse aacha option hai . ismai kayi Resorts bhi bane hai jo ki Fishing ke liye jane jate hai

Kaladhangi mai bana Corbett Museum bhi tourists ke liye ek aachi jagah hai jo ki famous jim corbett ka bangla hai jaha par corbett ka apna private saaman aaj bhi rakha hua hai . aane vale tourist
ke liye ek Kyari camp bana hua hai jo kumau ki talahati(bottom) mai sthit hai . iss park mai sabse pramukh nadi(river) ram ganga nadi , mundle nadi aur sona nadi hai jo national park ki khoobsurti mai apna mahatvapurn yogdaan deti hai

tourist yhaa aakar Soats  bhi dekh sakte hai jiska matlab hota hai 'mausam ka badalna' 
jim corbett national park Hawai marg , Rail aur sadak raasto se aachi tarah juda hua hai yaha par aane vaale sabhi tourists ko Advice di jaati hai ki ve iss park ka aanand uthane ke liye Summer aur Winter mai visit karen tab isko ghoomne ka najara bahut hi alag hota hai .

to comment karke batana dosto ye article aapko kesa laga jisse mai future mai aur bhi aache article publish karta rahunga Thanku dosto .

Read this :


1. statue of unity sardar patel
2. somnath temple ancient history
Newest
Previous
Next Post »