Ancient history of Tajmahal(tajmahal ka sadiyo purana itihas)

Ancient history of Tajmahal(tajmahal ka sadiyo purana itihas)

Hello dosto aaj hum janege Tajmahal ke baare mai ki iska itihas kesa raha hai chaliye start karte hai.

Tajmahal aaj poori duniya mai apni khoobsurti aur bhavayta ke liye duniya bhar mai Saat Ajube Ke Naam(Seven wonders of the world) se jaana jata hai . ye Mughal samrat shaasak Shah jahan aur unki sabse najdeeki Begum Mumtaj Mahal ke pyaar ki yaad dilata hai

Agra mai bane Tajmahal ko dekhne ke liye duniya ke kone-kone se log aate hai aur iski banavat , vaastucala aur khoobsurti ko dekhkar ek dam aascharya chakit ho jate hai . tajmahal ko Bharat ke sabhi pramukh(important) paryatan sthaalo mai se jaana jata hai , issi ka karan hai ki bharat mai Tourism ka isstar(Scope) kaafi bada hai . tajmahal ko iske aakarshan ke vajah se UNESCO ki list mai shaamil kiya gaya hai . isko banane ke peeche kayi uddesh hai jismai se bahut saari baato ke baare mai to hume pata hi nahi hai to chaliye unhi mai se kuch facts ke baare mai jante hai .

Full history of Tajmahal(tajmahal ka poora itihas)

Mughal Badshah Shah jahan ne apni aachi radneeti se 1628 AD se 1658 AD tak bharat par apna raaj kiya . shah jahan ke samay logo ka aesa manna tha ki shah jahan vaastucala , nayi-nayi karigari ka bahut shukeen tha , isliye usne apne raaj mai kayi Aitihasik Imaraton ka nirman karvaya , jismai mai se uski sabse prasiddh imaraton se ek Tajmahal hai , jiski sundarta poori duniya mai faili hui hai .

Tajmahal ko duniya ki sabse Lokpriya(popular) imaraton mai se ek mana jaata hai . shah jahan ne apni begum mumtaj mahal ki maaut(death) ke baad uski yaad mai 1632 AD mai iska nirman karvaya tha . shayad aap jaante honge ki tajmahal , mumtaj mahal ka ek bada Makbara hai , jise hum (Mumtaj Ka Makbara) se bhi jaante hai . aesa mana jaata hai ki badshah Shah jahan ne apne Pyaar ko hamesha amar banaye rakhne ke liye tajmahal ka nirman karvaya tha

shah jahan ne 1612 AD mai (mumtaj mahal) se unki khoobsurti se mohit hokar unse vivah kar liya tha . jiske baad vo unki sabse dil ke kareeb begum ban gayi thi . mughal badshah shah jahan apni begum mumtaj mahal se itna Pyaar karta tha ki vah unse ek pal bhi door nhi rahta tha , yaha tak mana jata hai ki vah apne Rajnaitik safar ke samay mai bhi unko saath jata tha aur mumtaj begum ki salah se hi apne chote-bade faishle leta tha .

1631 mai mumtaj ne jab apni 14 vi Santaan ko janm diya tabhi unki achanak maaut ho gayi thi .


Tajmahal photos , tajmahal photo download , tajmahal photo gallery
Tajmahal image
Shah jahan apni priya begum mumtaj mahal ki maaut se bilkul toot gaya tha , apne iss dukh ko na sah paane ke karan vo kaafi gamgeen rahne laga tha , phir usne apne Pyaar ko hamesha Amar banaye rakhne ke liye "Mumtaj ka makbara" banane ka faisla liya , jo ki aage chalkar baad mai duniya bhar mai Tajmahal ke naam se prasiddh hua . isse shah jahan aur mumtaj mahal ki anokhi prem kahani ke roop mai jana jata hai


When did the construction of tajmahal begin(tajmahal ko banane ka kaam kab suru hua)

Tajmahal ko banane ka kaam 1631 AD mai suru hua . Pyaar ke iss pratik ko banane mai 22000 kaarigar aur 1000 haathi(Elephant) lagaye gaye the . iss samarak ko poori tarah se Safed(white) sangmarmar se banaya gaya tha , jise poore India aur mid aesia se laaya gaya tha . aesa mana jata hai ki takreeban 35 million rs. ki laagat ke baad 1653 AD mai tajmahal ko banane ka kaam poora hua tha . jese hi tajmahal banke poora hua uske turant baad hi shah jahan ke bete Aurangzeb ne apne pitaa ko unke pad(post) se hata diya tha aur unhe bandi banakar kothri mai daal diya tha .

agar hum itihas ki taraf aage badte hai to 19 vi sadi ke last mai British vaysaray (governer general) lord karjan ne ek vishaal pariyojna banane ka Order diya diya jo 1938 mai poori hui thi joki 1857 mai bhartiya vidhroh ke samay kho gaya tha . aesa mana jata hai ki british sainiko aur kuch sarkari adhikariyon ne tajmahal ko apavitr(Unholy) karne ki kosis bhi ki thi .

iske alava british sheli ke samay ke bageeche(garden) jo aaj hum tajmahal ke chaaro taraf dekhte hai ve sabhi tajmahal ki khoobsurti ko badate hai . tajmahal hamesha se prachalit vivado mai , Bharat-pak yuddh aur paryavaran(Environment) pradushan se ateet aur vartman(past and present) mai khatre ke bawajood yah duniya bhar mai logo ko apni khoobsurti se aakarshit kiye hue hai .

Decoration inside the tajmahal(tajmahal ke andar ki sajavat)

Tajmahal ke andar ki jo sajavat aur banavat hai vo apne aap mai hi ek vishaal hai . jese hi aap tajmahal ke andar pravesh karte hai to aapko andar ki sajavat mai ek chidra(hole) ke samaan 8 kodiya vaala kendriya kaccha dikhai dega jismai se 8 chote kaccha hai . chote kaccho ko 2 manjila imaraton par banaya gaya hai jisse total aesi 16 sankhyan bankar taiyaar hoti hai . iske beech vala jo hissa hai vah mumtaj aur shah jahan ke sloko ka mukhya kaccha hai ismai do saje hue sangmarmar Cenotaph ek sangmarmar ki screen ke bheetar jude hue hai aur unka aage ka bhaag dakshin(south) ki taraf bana hua hai .

Bhagvaan ke 89 naamo ke slok shilalekh kabron par likhe hue hai aur vaha shah jahan ki kabra par ek trutiheen slok shilalekh par ankit hai . iski banavat aur sundarta ko dekhne ke liye ek din mai sabse jyada log aate hai . joki poori duniya mai aesi koi bhi doosri imarat nahi hai , jaha par ek din mai 12000 ke aas pass Tourist har roj isse dekhne ke liye aate hai

beautiful tajmahal image , tajmahal images hd
Tajmahal tourist image

Towers built around the corners of tajmahal(tajmahal ke chaaro kone par bani menare)

Tajmahal ke chaaro kone par bani hui Hindu , Muslim aur Mughalkaleen vaastucala ki yah vishaal imarat tajmahal ke chaaro kono par takreeban 40 meter ki uchai vaali sundar menare bani hui hai , jo ki tajmahal ki khoobsurti ko aur bhi jyada bada deti hai . aur ye menare aur menare ki tulnaa mai seedhe khadi na hokar bahar ki taraf jhuki hui hai . in menaro ka bahar ki taraf jhuke hone ka karan yah hai ki , agar kisi bhi tarah ki vinashkari sthiti jese Bhookamp ya phir anya koi bahari halchal iss par hoti hai to yah menar bahar ki taraf girengi jisse Tajmahal ko koi bhi nuksaan nahi hoga .


to ye thi dosto tajmahal ki kahani agar aapko article aacha laga to isse apne friends ke saath share jaroor kariyega thanks dosto 

Read this : 






Previous
Next Post »