Somnath temple ancient history(somnath mandir ka pracheen itihas)

Somnath temple ancient history(somnath mandir ka itihas)

hi dosto , aaj mai aap logo ko Somnath temple  ke baare mai bataunga jo apne aap mai rahasmay bana hua hai. vese toh aapne kayi mandir ke baare mai jana hoga lekin yah mandir pracheen samay se hi charchaoo mai raha hai. 

Somnath temple Gujraat ke Western coast par saurashtra mai veraval bandargah ke pass Prabhash patan mai bana hua hai. yah mandir Bharat mai bhagvaan Shiv ke 12 jyotirling mandiro mai se pahla sthaan aata hai. ye poore Gujraat ka ek mahatvapurn tirth aur paryatan jagho mai se ek hai. 

Ancient time(pracheen samay) mai iss mandir par kayi muslim aakramankariyo aur purtgaliyo dwaara baar-baar dhawst karne ke baad present(vartmaan) mai iss Hindu Mandir ka punah nirman ek bhavya vaastucala ki Chalukya sheli mai kiya gaya hai. Somnath ka arth hota hai , "bhagvaano ke bhaagvano" jise bhagvaan shiv ka ansh mana jata hai. gujraat ka somnath mandir bhagvaan shiv ke liye samarpit hai. 

yah mandir ek aesi jagah par bana hua hai jaha Antarctika tak somnath samudra ke beech ek sidhi rekha mai door-door tak koi bhi bhoomi(Land) nahi hai. somnath mandir ke pracheen itihas aur iski vaastucala ki khoobsurti aur prasiddhi ke karan isko dekhne ke liye duniya bhar se kayi saare log aate hai. Itihaskaro ke anusar aesa mana jata hai ki somnath mandir ka nirman Chandradev Somraj ne kiya tha. iska ullekh Rigveda mai kiya gaya hai. 

gujraat ke veraval bandargah mai bana hua somnath mandir ki mahima door-door tak faili thi. Arab yaatri Alberuni ne apni yatra mai iska ullekh kiya tha , jisse prabhaavit hokar Mahmood ghaznavi ne 1024 AD mai apne 5 hazaar sainiko ke saath somnath temple par 17 baar hamla kiya aur uski saari sampati loot kar mandir ko poori tarah se nast kar diya tha. ussi dauraan somnath mandir ke andar 50 hazaar log pooja kar rahe the , ghaznavi ne mandir ke andar aur uske aas-paas jitne bhi log the unn sabhi ka katal karva diya aur looti hui sampati ko lekar bhaag gaya.

somnath mandir image , best temple image
Somnath temple 
 iske baad gujraat ke raja Bheem aur malva ke raja Bhoj ne iss mandir ka nirman phir se karvaya. 1297 AD mai jab Dilli saltanat ne gujraat par apna kabja kiya tab somnath temple ko 5 vi baar giraya gaya. Mughal baadshah Aurangzeb ne 1702 mai apni sainaoo ko aadesh diya ki yadi hindu somnath mandir mai phir se pooja karte hai to isse poori tarah dhwast kar diya jaayega. aur ant mai usne ek baar phir se 1706 mai somnath mandir ko girva diya.

aaj iss samay somnath mandir jise roop mai khada hai usse Bharat ke Home minister Sardar vallabh bhai patel ne banvaya tha aur 1-dec-1995 ko bharat ke President Sankar dayal sharma ne isse rashtra ko samarpit kar diya.

somnath mandir duniya bhar mai prasiddh dharmik paryatan sthal hai , mandir ke andar Night 7;30-8;30 tak 1 hour ka sound light  show chalta hai. jismai somnath mandir ka bade hi sundar tarike se ullekh kiya jata hai. saavan mahine mai , mahashivraatri aur kartik purnima par yaha bhahut bada mela lagta hai. kathaoo ke anusar yahi par Bhagvaan Shri Krishna ne apna deh tyag kiya tha. issi vajah se iss mandir ka mahtva aur bhi bad jata hai.

Somnath mandir se kuch judi hui kahani(some story related to somnath mandir in hindi)

somnath mandir se judi hui katha bahut pracheen aur aascharya janak hai. Kivdantiyo(afvaah) ke anusar Som ya Chandra ne Raja Daksh ki 27 betiyo ke saath apna vivah kiya tha. lekin ve sirf apni ek patni ko hi sabse jyada pyaar karte the. apni baaki betiyo ke saath ye anyay hota dekh raja daksh ne chandra ko abhishaap diya ki aaj se tumhari chamak aur tej dheere-dheere khatam ho jaayegi. iske baad chandra dev ki chamak har dusre din ghatne lagi.

raja daksh ke abhishaap se parishaan hokar som ne bhagvaan Shiv ki pooja karna suru kar diya bhagvaan shiv som ki pooja se khush hokar unhe daksh ke abhishaap se mukt kar diya. abhishaap se mukt hokar raja som chandra ne iss sthaan par Bhagvaan Shiv ke mandir ka nirman kiya aur mandir ka naam rakha gaya Somnath temple(somnath mandir) . tab se yah mandir poore bharat sahit duniya bhar mai prasiddh hai.

Somnath mandir ke rochak tathya(Intresting facts somnath temple)

 bharat mai jyadatar sabhi paryatan sthaloo aur mandiro mai koi na koi aesi visheshta jaroor hoti hai jiske karan log usse dekhne ke liye aate hai. somnath mandir ki bhi apni hi ek aesi visheshta hai jo bharat ke sabhi mandiro mai sabse alag pahchaan banaye hue hai.

1. aap sabhi logo ko yah jaankar kafi aascharya hoga ki somnath mandir mai sthit Shivling mai Radiodharmi gunn hai jo jameen ke uper balance banaye rakhne mai madad karta hai. iss mandir ko banane mai 5 saal lag gaye the.

2. somnath mandir ke shikhar ki height 150 feet hai aur mandir ke andar garbh grah , nratya mandpum hai.

3. somnath mandir ko jab mahmood ghaznavi ne loota tha jo ki itihas ki ek prachalit ghatna hai. iske baad mandir ka naam poori duniya mai prasiddh ho gaya.

4. mandir ke dakshin mai samudra ke kinare ek stambh(Column) laga hua hai jise baan stambh ke naam se jana jata hai. iske uper teer(arrow) rakha gaya hai jo yah batata hai ki somnath temple  aur south pole ke beech earth ka koi bhaag nahi hai

5. yaha par 3 nadiyo(rivers) Hiran , Kapila aur Saraswati ka sangam hai aur iss triveni mai log snaan karne aate hai mandir nagar ke 10 kilometer mai faila hua hai ismai 42 mandir hai .

6. itihaskaro ka aesa manna hai ki Agra mai rakhe dev dwaar somnath mandir ke hi hai jinhe mahmood ghaznavi apne saath loot kar le gaya tha .

7. mandir ke shikhar par sthit Kalash ka weight 10 tan hai aur iski dhwaja 27 feet uchi hai

8. yah bharat ke 12 jyotirling mai se pahla jyotirling hai iske sthaapna ke bad agla jyotirling Varanasi , Rameshwaram aur Dwaarika mai sthapit kiya tha . iss karan Shiv bhakto ke liye yah ek Mahaan Hindu Mandir mana jata hai .

9. somnath mandir aaj poore bharat mai charcha ka visay bana hua hai . kyoki jo log hindu dharm ke log nhi hai unhe mandir mai jaane ke liye Permission leni padti hai . ab tak mili kankari kankari ke anusaar jo log hindu nahi hai unhe mandir mai jaane ke liye Trust ko karan batana hoga

10. 1296 mai Alauddin Khilji ke saina ne mandir ko nast kar diya tha . lekin baad mai gujraat ke Raja Karan ne iska bachaav kiya .


best image somnath temple , temple image
Somnath temple aerial view

Somnath temple(somnath mandir) kese pahuche

Air : somnath ka sabse najdeek airport Diu Airport hai jo somnath se lagbhag 63 kilometer door hai . Diu se somnath niyamit buses , laxri buses se pahucha ja sakta hai . porbandar airport somnath se 120 kilometer aur Rajkot airport 160 kilometer door hai . in airport ke liye kayi bade sahro se flight jaati hai .

Train : somnath se sabse najdeek railway station veraval hai , jo somnath se 5 kilometer ki doori par hai . yah station Mumbai , Ahamdabaad aur Gujraat ke anya sahro se rail network juda hua hai . yaha pesaanger traino se bhi veraval station pahucha ja sakta hai . phir vaha se aap auto ya aur koi vehicle se somnath pahuch sakte hai

Bus : somnath jaane liye buses sabse aacha option hai , kyoki somnath kayi chote-chote sahro se ghira hai jo bus service , non-AC dono ke saath-saath aachi  buses ke dwaara juda hua hai . Diu se somnath jane vaali AC buses mai per person 300 RS. ka kharcha padta hai . rajkot aur ahamdabaad jese nejdeeki sahro se bhi somnath temple(somnath mandir) pahuch sakte hai

agar apko aacha lagi ye post to isse apne dosto ke saath jaroor share kariyega . aage mai aese hi aapke liye aachi post share karta rahunga Thanku dosto .






Previous
Next Post »

2 comments

Click here for comments
23 March 2020 at 20:57 ×

Amazing blogs brother. I heard something new about this heritage place. Keep the blogs coming..

Reply
avatar
Unknown
admin
28 March 2020 at 00:48 ×

Nice bro very good

Reply
avatar