History of gwalior fort(Gwalior kile ka Itihas)

History of gwalior fort(Gwalior kile ka Itihas) 

hello dosto aaj hum janege gwalior kile ke baare mai.

Madhya pradesh Gwalior  mai sthit gwalior kile ka nirman 8 vi satabdi mai kiya gaya tha. 3 square kilometer ke area mai faile iss kile ki height lagbhag 35 feet hai. yah kila Madhykalin sthapatya ke samay ka sabse adhbhut kila hai. yah Gwalior sahar ka sabse pramukh smarak mana jata hai. jo Gopanchal pahadi  par sthit hai. Laal balua patthar se bana yah kila desh ke sabse kilo mai se ek hai aur iska Bhartiya itihas mai ek bahut hi mahtavpurn sthaan mana jata hai.

Gwalior kile ka itihas 

Itihaskaro ke anusaar is kile ka nirman saal 727 AD mai Surya sen naam ke ek sthaaniya Sardaar ne kiya jo iss kile se 12 kilometer door Sinhoniya gaun mai rahta tha. iss kile par kayi Rajput rajao ne apna saasan kiya. 1023 AD mai Mohammad Gajni ne iss kile par aakrman kiya lekin usse haar ka samna karna pada. 1196 AD mai chaaro taraf ghera bhandi ke baad Qutubuddin Aibak ne iss kile par apna raaj kar liya lekin 1211 AD mai usse bhi haar ka samna karna pada. phir 1231 AD mai Gulaam Vansh ke sansthapak Iltutmish ne isse apne kabje mai le liya.

iske baad Maharaja devraam ne Gwalior kile par tomar rajya ki sthaapna ki. iss vansh ke sabse prasiddh aur shaktishali raja the Mansingh (1486-1516) jinhone apni Patni Mragnayni ke liye ek Guzaari Mahal banvaya. 1398 se 1505 AD tak iss kile par tomar vansh ka raaj hua karta tha. Mansingh ne iss samay Ibrahim Lodi ke adheenta ko swikar kar liya tha. Lodi ki mratyu ke baad jab mansingh ke bete Vikramaditya ko Humayu ne dilli darbaar mai bulaya toh unhone aane se inkaar kar diya. iske baad jab Babar ne Gwalior par hamla kar isse apne kabje mai kar liya aur iss par apna raaj kiya.

gwalior kile ka itihas , best fort in india
Gwalior fort 
lekin Sher shaah suri ne Babar ke bete Humayu ko harakar iss kile ko suri vansh ko de diya. sher shaah ki mratyu ke baad 1540 mai unke bete Islam shaah ne kuch samay ke liye apni rajdhani dilli se badalkar Gwalior kar di. islam shaah ki mratyu ke baad unke vaarish Aadil shaah  suri ne gwalior ki rakhsa ki jimeevari Hemchand Vikramadiya(Hemu) ko saupkar khud Chunaar chale gaye. hemu ne iske baad kayi vidroh kiye jismai unhone 22 ladaaiya jeeti. 

1556 mai hemu ne hi Panipat ki doosri ladai mai Agra aur Dilli mai Akbar ko harakar Hind Raj ki sthapna ki iske baad hemu ne apni rajdhani badalkar vaapas dilli ki aur vah vahi puraane kile se saasan karne laga. iske baad Akbar ne Gwalior ke kile par aakrman kar isse apne kabje mai le liya aur isse kaal kothri mai parivartit kar diya.akbar ke chachere bhai Kamran  ko yahi bandi bana kar rakha gaya aur phir usse maaut ki saja di gayi.

Aurangzeb ke bhai Mureed aur Bhaatijune soleman  aur Safar siko ko bhi iss kile mai maaut ki saja di gayi. ye saari saja Maan Mandir Mahal mai di gayi thi. Auranzeb ki mratyu ke baad Gohad ke raajao ke paas iss kile ka niyantran chala gaya. Maratha raja Chatar singh ko harakar iss kile par apna kabja kar liya lekin iss kile par unka saasan jayada samay tak nhi raha aur unhe ye kila East India company ke haatho saupna pada.

3 august 1780 ko Captain Pofaam aur Bres ke netratva mai aadhi raat ko yuddh dwara Britisho ne Gwalior kile par kabja kar liya. 1780 mai Governer Varen Hastings ne Gohad rana kile ke aadhikar vaapas dilvaya. 4 saal baad marathao ne phir se kile par apna kabja kar liya. iss baar Angrezo ne gohad rana ki koi madad nhi ki kuki gohad ne angrezo ko dhoka diya tha. doosre maratha-angrez yuddh mai Daulat Rao Sindhia iss kile ko phir haar gaye.

1808 aur 1844 ke beech iss kile ka saasan kabhi marathao to kabhi angrezo ke haath mai aata jata raha. Maharajpur ke yuddh ke baad Jaunary 1844 mai yah kila angrezo ne maratha sindhia vansh ko apna deewan niyukt kiya. 1858 mai angrezo ne iss kile par phir se kabja kar liya. angrezo Jiyaji ko kuch riyaasati di par kile ka kabja apne paas hi rakha.

1886 mai angrezo ne poore Bharat  par apna niyantran kar liya aur unke liye ab iss kile ka koi khash mahatav nhi raha isliye unhone iss kile ko Sindhia gharane ko de diya. sindhia gharane ne bharat ke aazaad hone tak(1947) iss kile par apna raaj kiya aur bahut se nirmaan bhi kiye jismai se ek hai Jay vilas palace bhi shaamil hai. kile ko aachi dekhrekh mai rakha gaya hai aur ismai bahut se nirman bhi karaye gaye jesse ki Mahal mandir , pani ki tankiya aadi. 

issmai Man mandir , Gujari jahagir , shahjaha jese kayi mahal hai. yah kila 3 kilo meter ke area mai aur 35 feet uncha hai. Pahad ke kinaro se isski Dewaarai banayi gayi hai aur isse 6 minaaro se joda gaya hai. ismai do darvaje hai ek North-East mai aur doosra South-West mai. makhya dwaar ka naam Haathi pul hai aur doosre dwaar ka naam Badlagarh dwaar hai. man mandir mahal North-West mai stihit hai , isse 15 vi satabdi mai banaya gaya tha.

Teli ka mandir gwalior fort 

teli mandir gwalior fort image , famous fort
Teli ka mandir gwalior fort 
Teli ka mandir ka nirman Pratihar samrat Mihir bhoj ne karvaya tha yah teli ka mandir ek Hindu mandir hai. yah mandir Vishnu , Shiv aur Matraka ko samarpit kiya gaya hai. yah Gwalior Fort ka sabse purana bhag hai ismai South aur North sthapatya sheeli ka mixture hai. Uttar bhartiya sheeli mai ek chiknayi vali meenar hai , iss meenar ki uchai 2 5 meter(82feet) hai. iss mandir ki bahri dewaaro mai moortiyo ko rakha gaya tha. teli ke mandir ko Aadmi ka mandir bhi kaha jata hai. yah mandir pahle bhagvaan vishnu ka mandir tha jo ki baad mai bhagvaan shiv ka mandir ban gaya.

Gwalior fort Itihas mai hamesha hi charcha mai raha hai . itihas mai yeh hamai ek bahut ki anmol khazana mila hai jiska kayi saalo pahle jitna mahatav hai aaj bhi iska utna hi mahatav hai. yah bahut hi khoobsurat aur sabse shaandar kilo mai se ek hai.

toh bataiye dosto comment mai ki kesi lagi aapko ye post padke agar aur bhi fort ke baare mai janna chate hai to yaha  par  Click karen



Previous
Next Post »