History of jaisalmer fort in hindi

History of jaisalmer fort in hindi 

Hi dosto kese hai aap aaj hum jaisalmer fort ke baare mai jaanege toh chaliye start karte hai.

Yah kila Jaisalmer mai sthit hai , jo Bharat ke rajasthan rajya mai aata hai. ye kila duniya ke sabse bade kilo mai se ek hai aur yah apni banavat aur kuch khasiyato ki vajah se baaki kilo se ekdam alag dikhai padta hai. iss kile ko World heritage site(UNESCO) mai shaamil kiya gaya hai. issko banane ka kaam 1156 AD mai Rajput shaasak Raval jaisal ke samay mai kiya gaya tha tabhi se iss kile ka naam unhi ke naam par rakha gaya tha.

Jaisalmer fort thar registhan ke Trikuta parvat par sthit hai , yaha par kayi aitihasik ladaiyan bhi hui hai. kile ke andar bahut bhaari Yellow rang ke Balua pattahro ki deewaren bani hui hai. agar aap din ke samay Suraj ki roshni mai iss kile ko dekhenge toh aapko kile ki deewaren halki sunhari rang ki dekhai dengi. aur issi vajah se Jaisalmer fort ko Sonar kila ya Golden fort ke naam se jana hai. yah kila sahar ke bilkul beecho beech bana hua hai aur yahi Jaisalmer ki aitihasik dharohar logo ko bahut aakarshit karti hai.

Kile ke andar bahut hi aakarshak aur khoobsurat haveliyan , bade-bade bhavan , sainiko aur vyapariyon ke sundar awasiya parisar , bhavya mandir bane huae hai. jaisalmer ka yah kila itihas ki kayi badi-badi ladayion ka bhi sakshya hai. iss vishal kile ne aajadi ke baad saal 1965 se 1971 ke beech huae bharat-pakistan ke yudhh mai kayi laakho logo ko sanrakshan diya hai. jaisalmer fort ka yah kila apni adbhut vaastukala ke liye jana jata hai.

jaisalmer ka kila bhartiya , islami , aur farsi vastu sheli ka khas misran hai. Itihas mai iss kile ki apni ek alag hi khas pehchan hai kile ke iss nirman ko lekar kayi saari aitihashik ladayian judi hui hai. itihaskaro ke anusaar Gaur ke sultan udeen muhammad ne apne rajya ko bachane ke liye rajput shaasak raval jaisal ko apne jaal mai fasa liya aur unn par Aakraman kar diya aur phir unke iss kile ko chaaro taraf se deraa dalkar isse loot liy.

iske saath hi unhone iss kile mai rah rahe logo ko jabardasti bahar nikal diya aur uss kile ko poori tarah se katam kar diya. jiske baad samrat Jaisal ne trikuta ke pahaad par ek naya khoobsurat kila kila banane ka faisla liya, iske liye unhone pahle Jaisalmer fort ki Neev rakhi aur fir usse apni rajdhani ghosit kiya. iske baad bhi raja jaisal ka iss kile par adhikar nhi raha.

1293-1294 AD mai raja jaisal ka uss samay Dilli ke sultaan Alauddin khilji ne jaisalmer ke kile par apna kabja kar liya aur kareeb 9 saal tak Alauddin khilji ne iss kile par saasan kiya. iske baad Jaisalmer kile par doosra hamla Mughal Samrat Humayun ke dwaara 1541 AD mai kiya gaya. unki issi shakti aur taaqat ko pehchante huae Raja Raval ne mughlo se dosti karne ka faisla liya, aur mughlo se apne acche sambandh banane ke liye unhone apni beti ka vivah Mughal samrat Akbar ke saath kar diya. 


History of jaisalmer fort, best fort
Jaisalmer fort 
iss kile par 1762 AD tak mughlo ka saasan raha. phir iske baad jaisalmer ke kile par Maharaj  moolraj ne apna adhikar kar liya , vahi 1820 mai Moolraj ki mrattu ke baad unke pote Gaj singh ne jaisalmer ke iss bhavya kile par apna kabja kar liya. 


Bharat-pak yuddh mai jaisalmer kile ne kayi logo ko sanrakshan diya

Bharat ki azadi ke baad Bharat-Pak ke beech batvara hua , lekin pakistan ne apne galat irrado ke saath bharat par pahle saal 1965 mai aur phir uke baad saal 1971 mai hamla kiya , lekin iss yuddh mai bharat ke Veer Jawano ne pakistani sainiko ko safal nhi hone diya. bharat-pak ke beech yah jaisalmer mai lada gaya , aese mai yuddh ke samay vaha ke logo ki surakha ko lekar jaisalmer ke sabhi logo ko andar bhejne ka faisla liya gaya.

Jaisalmer ka kila itna vishaal hai ki iss kile mai uss samay kareeb 4 Hazar se jyada log aa sakte the. toh iss tarah jaisalmer kile ne bharat-pak ke beech hue yuddh mai logo ki jaan bachkar apni Mahanta dikhai.

Jaisalmer kile ki banavat aur vaastukala

Yah kila 1500 feet(460meter) lamba aur 750 feet(230meter) chauda hai aur 250 feet(76meter)  uche parvat par bana hua hai. , kile ke andar ek tahkhana hai jo 15 feet lamba hai.  sahar se kile total 4 pravesh dwaar hai , jinmai ek dwaar par Toope bhi lagi hui hai.

1 Rajmahal(Royal palace)
2 Lakshmi mandir 
3 4 vishaal pravesh dwaar 
4 Vyapar haveli

Rajasthani sahro ke kayi dhani vyapariyon ne badi-badi haveliyan bhi banvai hai. jinmai se kuch haveliyan toh 10 saal se bhi jyada purani hai. Jaisalmer sahar mai peele pattharo  se bani aesi bahut saari vishaal aur sundar haveliyan hai.

image jaisalmer fort, old image jaisalmer
image jaisalmer fort

Jaisalmer kile tak kese pahuche 

Aap jaisalmer kile tak road , rail aur air teeno raaste ke jariye aasani se pahuch sakte hai. yah teeno raasto se acchi tarah juda hua hai. yaha tak pahuchne ke liye bahut saari private bus aur govt. bus bhi chalti hai. iske alava kai Traine jaisalmer ke raaste se jaati hai. jisse Tourist yaha aasani se pahuch sakte hai.

jaisalmer ka bhavya kila sirf isske aitihasik mahatva ki vajah se prasiddh hai , jisse yah Tourist ko apni aakarshit karti hai .issi karan jaisalmer ka yah kila Bharat ki sabse mukhay jagho mai se ek hai.


toh batay dosto aapko ye article kesa laga comment mai jaroor batana jisse mai inspire hoke future mai aur bhi acche article post karu Thanku all 

aur article padne ke liye yaha  click karen

Read more :

history of tajmahal
Previous
Next Post »