The (best) place hampi in all time history

The (best) place hampi in all time history


Hello dosto,
Kese hai aap sab log umeed karta hu ki aap sabhi  aache honge. aaj mai aapko Hampi ke baare batane ja rha hu jo ki all time history mai sabse important rha hai.

Kisi bhi desh ki Sanskriti ko jaane ke liye uss desh ke Itihas ko samjhna jaroori hai. 

Hampi south india Karnataka ka ek chota sa gaon hai jo 14 vi shatabdi mai Vijayanagar samrajya ki rajdhani hua karti thi. ye nagar Tungabhadra  river ke kinare basa hua hai .Vijayanagar samrajya ki sthapna Harihar aur Bukka naam ke doo bhaiyo ne ki thi.  aesa mana jata hai ki ye nagar uss samay ke all time history mai sabse ameer samrajya tha jo ki aab keval Khandaro ke roop mai hai. inko dekhne iss baat ka pata chalta hai ki kisi samay mai yaha ek samradh sabhyata nivass kati thi. 

Bharat ke karnataka rajya mai basa yah nagar UENSCO dwara vishav ki sabhi virasat jagaho ki sankhya mai shaamil kiya gaya hai. har saal yaha hazaaron ki sankhya mai sailani aur tirthyatri aate hai Hampi ka ye vishaal failao goal chattano ke teelo mai faila hua hai. Ghatiyo aur teelo ke beech 500 se bhi se jyada Smarak chinh hai inmai Mandir, Mahal, Tahakhane, Purane baazar, Shaahi mandap, Rajkosh aadi kayi saari Imarate hai. 

Hampi mai basa  ek Stone chariot  hai jise vijaya rath ke naam se jana jata hai. jye bahut purana mandir hai iss mandir ki ek khash baat yah hai ki ismai ek pillar hai jise aap agar haath se bajate hai toh bahut tarah-tarah ki Musical dhune nikalti hai. Hampi mai Vitthal mandir sabse shaandar smarako mai se ek hai. vijay vitthal mandir ko jab aap aachi tarah gaur se dekhte hai toh uss jamane ke kayi rahasya ujjagar hote hai. 

Vitthal mandir:

Vitthal mandir 
agar hum iske hall ke poorvi hisse mai dekhte hai toh aapko ek prasiddh shila rath dikhai  degaa jo vastav mai patthar ke pahiyo se chalta tha. Humpi mai aesi anek ascharya cheesse hai , jese yaha ke rajaoon ko annaj, sonne ke rupiyo se taula jata tha aur fir usse gareeb logo mai baant diya jata tha. humpi ki har ek cheese kuch na kuch baya karti hai south india ki yah jagah bahut hi shaant aur khoobsurat hai. 

Humpi mai ek sundar doo manjila sthaan hai jiske rasste jyamiti aakaar ke jese bane hue hai. yaha par haathi-khane ke pravesh dwaar aur gumbad meharabdar bane hue hai aur shahar ke shahhi pravesh dwaar par Hajara Ram Mandir bana hai. Humpi ki sair karne aaye log Bhagvaan Shiva aur unki sangini devi pumpa ko samarpit Virupaksha mandir ke darshan bhi kar sakte hai. Virupaksha mandir bharat ke prasiddh aitihasik mandiro mai se ek hai yah mandir Bangluru se 350 kilometer ki doori par hai. yah mandir Humpi ke aitihasik samarako ke samooh ka ek mukhya hissa hai. 

Virupaksha mandir, Humpi mai tirtha yatra ka mukhya kendra hai. ass pass ke khandaro mai yah mandir abh bhi barkarar hai aur abhi bhi iss mandir mai bhagvaan Shiv ki pooja ki jaati hai. aesa mana jata hai ki bhagvaan Vishnu ne iss jagah ko apne rahne ke liye kuch aathik hi bada samjha aur ve apne ghar vaapaschale gaye. virupaksha mandir mai bhoomi ke andar shive mandir bhi hai. mandir ka bada hissa paani ke andar hai, isliye vaha koi Nhi ja sakta hai bahar ke hisse ke mukable mandir ke iss hisse ka Temperature bhahut hi kam rahta hai.


Shila-rath(Bhagvaan vishnu):
Shila-rath 
iss mandir ke andar ek Queens bath hai jaha Vijayanagar samrajya ki Raaniya yaha par snaan kiya karti thi. jaha kisi bahari logo ko andar aana poori tarike se mana tha isski banavat bhi iss tarah se ki gayi thi ki koi bahari log jaane-anjaane mai bhi issmai pravesh n kar sake. lekin abb yah khandar ke roop mai badal gaya hai aur aaj ke samay mai issne apna bahut kuch kho diya hai. Queens bath mai choti-choti 8 balkaniya hai.  kaha jata hai ki inn balkaniyo mai Raaniya baithke apni body ko Polish kiya karti thi.

Queens bath ke kuch hi door Lotus mahal hai jaha par Raaniya snaan karne ke baad yaha par aaraam kiya karti thi. Vijayanagar samrajya mai banaye gaye bhavya kala mai se ek hai.

Lakshmi Narasimha Mandir yah ek 22 foot height ki moorti sirf ek patthar se banayi gayi hai aur iss moorti ke bagal mai ek Shivaling bhi hai hindu katha Ramayan ke annusar iss jagah ko Kiskindha ke naam se jata tha. ye Hanuman ji ka janam sthal tha ramayan ke annusar Bhagvaan shree Raam Seeta ki khoj mai Hanuman ji se yahi mile the. yah ek bahut hi aachi jagah hai agar aapko kabhi jaane ka mauka mile toh Bhagvaan Narsimh aur Devi Lakshmi ke darshan jaroor karen.

Hampi jaane ke raaste:


1.   Aeroplane ke dwara: Hampi mai koi bhi airport nhi hai agar aapko jana hai toh hampi ke najdeek ek jagah hai. Hubli vaha se aap ja sakte hai.

Hampi: 144 kilometer door 
Hubli airport(HBX): hubli, karnataka 
Hampi: 216 kilometer door
Sambre airport(IXG): belgaun, karnataka 

2. Train ke dwara: aap hampi train se bhi ja sakte hai jo ki niyamit roop se chalti hai aur isse Travel karna kaafi sasta aur aaramdayak hota hai.

Hampi: 10 kilometer door kariganuru,(KGW), karnataka 
Hampi: 11 kilometer door Hospet juction(HPT), hospet, karnataka 

3. Bus ke dwara: aap bus se bhi ja sakte hai jese Goa, Andhra pradesh aur Maharashtra ke kayi sahro se chalti hai. aap chaho toh Bengluru(345kilometer), Haidrabad(380kilometer), ys Hubli(165kilometer), aap chaho toh khud drive karke bhi 8 se 9 ghante mai pahuch sakte hai.


Toh batayi dosto aapko kesi lagi yah post humpi ka baare mai comment mai jaroor batana mai aage bhi khud ko aese improve karta rahunga aur aapko aese hi Historic place ke baare mai bataunga.  

Dhanybad dosto

Read this :

Red fort history

Previous
Next Post »